yun bhi aankhon mein kisi KHwab ka resha na bane
yuuñ bhī āñkhoñ meñ kisī ḳhvāb kā resha na bane
koī pahchān na ho Thiik se chehra na bane
aisī tasvīr banā rote hue ḳhush bhī lagūñ
ġham kī tarsīl to ho ġham kā tamāsha na bane
mustahiq huuñ to kisī aur se tasdīq bhī kar
mujh ko mat denā agar merā dilāsa na bane
jitnā puḳhta bhī ho dil jism se bāhar rakhnā
taaki TuuTe bhī to phir siine meñ malba na bane
bas isī shart pe koī bhī rahe āñkhoñ meñ
niiñd kī samt kisī ḳhvāb kā rasta na bane
jo bhī rishta ho faqat merā ho tujh se 'dānish'
aur to aur tirā mujh se bhī rishta na bane
yun bhi aankhon mein kisi KHwab ka resha na bane
koi pahchan na ho Thik se chehra na bane
aisi taswir bana rote hue KHush bhi lagun
gham ki tarsil to ho gham ka tamasha na bane
mustahiq hun to kisi aur se tasdiq bhi kar
mujh ko mat dena agar mera dilasa na bane
jitna puKHta bhi ho dil jism se bahar rakhna
taki TuTe bhi to phir sine mein malba na bane
bas isi shart pe koi bhi rahe aankhon mein
nind ki samt kisi KHwab ka rasta na bane
jo bhi rishta ho faqat mera ho tujh se 'danish'
aur to aur tera mujh se bhi rishta na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.