Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun bhi hoti hai saKHawat us ka andaza na tha

Qazi Ehtisham Bachhrauni

yun bhi hoti hai saKHawat us ka andaza na tha

Qazi Ehtisham Bachhrauni

MORE BYQazi Ehtisham Bachhrauni

    yuuñ bhī hotī hai saḳhāvat us andāza na thā

    bhiik us ghar se milī jis ghar darvāza na thā

    shukriya terā nigāh-e-nāz terā shukriya

    muntashir is tarah apne dil shīrāza na thā

    ab na mustaqbil 'ayāñ hai aur na maazī ke nuqūsh

    vaqt chehra bahut shaffāf thā ġhāza na thā

    thī mujhe duniyā se nafrat thā mujhe logoñ se bair

    aap par to band mere dil darvāza na thā

    nāpne aa.e the mujh ko ġharq ho kar rah ga.e

    dostoñ ko merī gahrā.ī andāza na thā

    ye huī uqda-kushā.ī dar-haqīqat bā'd-e-marg

    ziist maidān-e-amal thī koī ḳhamyāza na thā

    sehn-e-gulshan meñ milī aksar dobāra tāzgī

    dosto kunj-e-qafas meñ zaḳhm-e-dil taaza na thā

    qais vo batlā rahā thā ḳhud ko lekin 'ehtishām'

    koī bhī sañg-e-malāmat koī āvāza na thā

    yun bhi hoti hai saKHawat us ka andaza na tha

    bhik us ghar se mili jis ghar ka darwaza na tha

    shukriya tera nigah-e-naz tera shukriya

    muntashir is tarah apne dil ka shiraaza na tha

    ab na mustaqbil 'ayan hai aur na mazi ke nuqush

    waqt ka chehra bahut shaffaf tha ghaza na tha

    thi mujhe duniya se nafrat tha mujhe logon se bair

    aap par to band mere dil ka darwaza na tha

    napne aae the mujh ko gharq ho kar rah gae

    doston ko meri gahrai ka andaza na tha

    ye hui uqda-kushai dar-haqiqat ba'd-e-marg

    zist maidan-e-amal thi koi KHamyaza na tha

    sehn-e-gulshan mein mili aksar dobara tazgi

    dosto kunj-e-qafas mein zaKHm-e-dil taza na tha

    qais wo batla raha tha KHud ko lekin 'ehtisham'

    koi bhi sang-e-malamat koi aawaza na tha

    Source :
    • Book : Kaif-e-Gazal (Pg. 96)
    • Author : Qazi Ehtisham Bachrauni
    • Publication : Ehtisham Tailaring House, Amroha (U.P.) (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now