yun bhi ek bazm-e-sada humne sajai pahron
yuuñ bhī ik bazm-e-sadā ham ne sajā.ī pahroñ
kaan bajte rahe āvāz na aa.ī pahroñ
ik tirā naam thā ubhrā jo fasīl-e-lab par
varna sakte meñ rahī saarī ḳhudā.ī pahroñ
lamha-bhar ke liye barsī tirī yādoñ kī ghaTā
ham ne bhīgī huī chilman na uThā.ī pahroñ
vo to phir ġhair thā ġhairoñ se shikāyat kyā ho
nabz apnī bhī mire haath na aa.ī pahroñ
aañkh jhapkī to ravāñ thī vo havā ke ruḳh par
ham ne jo ret kī dīvār banā.ī pahroñ
par sameTe hue yuuñ chupke se lamha guzrā
shab kī dahlīz pe dī ham ne duhā.ī pahroñ
lauT kar aa.e na bhaTke hue raahī dil meñ
aag is dasht meñ ham ne to jalā.ī pahroñ
phir bhī le de ke vahī rog purānā niklā
ham ne moḌī hai ḳhayāloñ kī kalā.ī pahroñ
vo hayūle the ki saa.e the sar-e-raqs 'rashīd'
jism kī ek bhī jhankār na aa.ī pahroñ
yun bhi ek bazm-e-sada hum ne sajai pahron
kan bajte rahe aawaz na aai pahron
ek tera nam tha ubhra jo fasil-e-lab par
warna sakte mein rahi sari KHudai pahron
lamha-bhar ke liye barsi teri yaadon ki ghaTa
hum ne bhigi hui chilman na uThai pahron
wo to phir ghair tha ghairon se shikayat kya ho
nabz apni bhi mere hath na aai pahron
aankh jhapki to rawan thi wo hawa ke ruKH par
hum ne jo ret ki diwar banai pahron
par sameTe hue yun chupke se lamha guzra
shab ki dahliz pe di hum ne duhai pahron
lauT kar aae na bhaTke hue rahi dil mein
aag is dasht mein hum ne to jalai pahron
phir bhi le de ke wahi rog purana nikla
hum ne moDi hai KHayalon ki kalai pahron
wo hayule the ki sae the sar-e-raqs 'rashid'
jism ki ek bhi jhankar na aai pahron
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 27)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.