yun bulane se nind kab aai
yuuñ bulāne se niiñd kab aa.ī
jab bhī aa.ī hai be-talab aa.ī
ro paḌe dil dayār ke baasī
un ke ghar meñ bahār jab aa.ī
maiñ kisī bazm meñ agar aayā
saath mere tumhārī chhab aa.ī
dil hī dhaḌkā na aañkh hī phaḌkī
kyoñ tirī yaad be-sabab aa.ī
chashm-e-tar tū baras na soch abhī
bhaaḌ dasht-e-junūñ meñ kab aa.ī
yaad kā bhī ajiib aalam hai
jab na aanā use thā jab aa.ī
un se milne kī jab bhī baat chhiḌī
his nigāhoñ meñ jāñ-ba-lab aa.ī
hijr kī dhuup Dhalte-Dhalte Dhalī
vasl kī shub ghaḌī na shab aa.ī
ḳhush-nasībī kī rut bhī kyoñ 'īraj'
maiñ ne chāhā na thā ki tab aa.ī
yun bulane se nind kab aai
jab bhi aai hai be-talab aai
ro paDe dil dayar ke basi
un ke ghar mein bahaar jab aai
main kisi bazm mein agar aaya
sath mere tumhaari chhab aai
dil hi dhaDka na aankh hi phaDki
kyon teri yaad be-sabab aai
chashm-e-tar tu baras na soch abhi
bhaD dasht-e-junun mein kab aai
yaad ka bhi ajib aalam hai
jab na aana use tha jab aai
un se milne ki jab bhi baat chhiDi
his nigahon mein jaan-ba-lab aai
hijr ki dhup Dhalte-Dhalte Dhali
wasl ki shub ghaDi na shab aai
KHush-nasibi ki rut bhi kyon 'iraj'
main ne chaha na tha ki tab aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.