Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun chahaton mein koi ranj-e-ashnai na de

Ahmad Musharraf Khawar

yun chahaton mein koi ranj-e-ashnai na de

Ahmad Musharraf Khawar

MORE BYAhmad Musharraf Khawar

    yuuñ chāhatoñ meñ koī ranj-e-āshnā.ī na de

    ki dil ho raakh magar aag bhī dikhā.ī na de

    asīr-e-dām-e-mohabbat kahāñ se ho āzād

    ki un zulf zanjīr jab rihā.ī na de

    kahāñ se suntā sadā merī us hujūm meñ vo

    pukāro ḳhud ko to āvāz bhī sunā.ī na de

    hujūm-e-lafz se kyā chamke sīnā-e-qirtās

    tirā ḳhayāl qalam ko jo raushnā.ī na de

    ye kaisā ḳhauf musallat hai zehn-o-dil par ab

    parinda ḳhud kahe sayyād se rihā.ī na de

    vo jin nigāhoñ ko kal tīrgī shikva thā

    hai aaj raushnī itnī ki kuchh dikhā.ī na de

    atā ho dar se tire izz-o-jāh daulat

    nigāh-e-ḳhalq meñ kar de baḌā baḌā.ī na de

    yun chahaton mein koi ranj-e-ashnai na de

    ki dil ho rakh magar aag bhi dikhai na de

    asir-e-dam-e-mohabbat kahan se ho aazad

    ki un ki zulf ki zanjir jab rihai na de

    kahan se sunta sada meri us hujum mein wo

    pukaro KHud ko to aawaz bhi sunai na de

    hujum-e-lafz se kya chamke sina-e-qirtas

    tera KHayal qalam ko jo raushnai na de

    ye kaisa KHauf musallat hai zehn-o-dil par ab

    parinda KHud kahe sayyaad se rihai na de

    wo jin nigahon ko kal tirgi ka shikwa tha

    hai aaj raushni itni ki kuchh dikhai na de

    ata ho dar se tere izz-o-jah ki daulat

    nigah-e-KHalq mein kar de baDa baDai na de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now