yun chaar din ki bahaaron ke qarz utare gae
yuuñ chaar din kī bahāroñ ke qarz utāre ga.e
tumhāre ba.ad ke mausam faqat guzāre ga.e
zarā sī duur to sailāb ke sahāre ga.e
bhañvar meñ uljhe to phir haath paañv maare ga.e
sadā kā der talak gūñjnā bahut bhāyā
phir ek naam bayābāñ meñ ham pukāre ga.e
chhupā chhupā ke jo rātoñ ne ḳhvāb rakkhe the
vo saare din ke ujāloñ ke haath maare ga.e
kuchh ek chehre mirī chashm-e-tar meñ tairte haiñ
kuchh ik safīne abhī tak na paar utāre ga.e
yun chaar din ki bahaaron ke qarz utare gae
tumhaare baad ke mausam faqat guzare gae
zara si dur to sailab ke sahaare gae
bhanwar mein uljhe to phir hath panw mare gae
sada ka der talak gunjna bahut bhaya
phir ek nam bayaban mein hum pukare gae
chhupa chhupa ke jo raaton ne KHwab rakkhe the
wo sare din ke ujalon ke hath mare gae
kuchh ek chehre meri chashm-e-tar mein tairte hain
kuchh ek safine abhi tak na par utare gae
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 675)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.