yun dekhiye to aandhi mein bas ek shajar gaya
yuuñ dekhiye to āñdhī meñ bas ik shajar gayā
lekin na jaane kitne parindoñ kā ghar gayā
jaise ġhalat pate pe chalā aa.e koī shaḳhs
sukh aise mere dar pe rukā aur guzar gayā
maiñ hī sabab thā ab ke bhī apnī shikast kā
ilzām ab kī baar bhī qismat ke sar gayā
yun dekhiye to aandhi mein bas ek shajar gaya
lekin na jaane kitne parindon ka ghar gaya
jaise ghalat pate pe chala aae koi shaKHs
sukh aise mere dar pe ruka aur guzar gaya
main hi sabab tha ab ke bhi apni shikast ka
ilzam ab ki bar bhi qismat ke sar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.