yun furqaton mein sulagta hai yaad ka mausam
yuuñ furqatoñ meñ sulagtā hai yaad kā mausam
ki jaise dasht-e-junūñ jaag uTThā hai yak-dam
hameñ ḳhabar thī kabhī kaam aa hī jā.egā
jalāyā dil ko agar shaam ho ga.ī maddham
vo duur hai to yuuñ sākit huā chaman saarā
ruḳh-e-gulāb pe jaise rukī huī shabnam
junūñ meñ maañg liyā thā kamāl-e-dildārī
so izn-e-ishq hai ye fāsla rahe qaa.em
hamāre soz-e-junūñ se jo aañkh ne dekhā
hamāre biich kā har fāsla huā mub.ham
ho jaise phuul koī nālāñ apnī ḳhushbū se
tamām 'umr vo mujh se yūñhī rahā barham
nahīñ likheñge koī baat aaj 'nīlam' kī
ġhazal ke she'roñ meñ ye mashvara huā bāham
yun furqaton mein sulagta hai yaad ka mausam
ki jaise dasht-e-junun jag uTTha hai yak-dam
hamein KHabar thi kabhi kaam aa hi jaega
jalaya dil ko agar sham ho gai maddham
wo dur hai to yun sakit hua chaman sara
ruKH-e-gulab pe jaise ruki hui shabnam
junun mein mang liya tha kamal-e-dildari
so izn-e-ishq hai ye fasla rahe qaem
hamare soz-e-junun se jo aankh ne dekha
hamare bich ka har fasla hua mubham
ho jaise phul koi nalan apni KHushbu se
tamam 'umr wo mujh se yunhi raha barham
nahin likhenge koi baat aaj 'nilam' ki
ghazal ke she'ron mein ye mashwara hua baham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.