Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana

Allama Iqbal

yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    Baal-e-Gibril

    yuuñ haath nahīñ aatā vo gauhar-e-yak-dāna

    yak-rañgī o āzādī ai himmat-e-mardāna

    sanjar o tuġhral ā.īn-e-jahāñgīrī

    mard-e-qalandar ke andāz-e-mulūkāna

    hairat-e-'fārābī' tāb-o-tab-e-'rūmī'

    fikr-e-hakīmāna jazb-e-kalīmāna

    aql rūbāhī ishq-e-yadul-lāhī

    hīla-e-afrañgī hamla-e-turkāna

    shar-e-musalmānī dair darbānī

    nāra-e-mastāna kaaba ho ki but-ḳhāna

    miirī meñ faqīrī meñ shāhī meñ ġhulāmī meñ

    kuchh kaam nahīñ bantā be-jur.at-e-rindāna

    yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana

    yak-rangi o aazadi ai himmat-e-mardana

    ya sanjar o tughral ka aain-e-jahangiri

    ya mard-e-qalandar ke andaz-e-mulukana

    ya hairat-e-'farabi' ya tab-o-tab-e-'rumi'

    ya fikr-e-hakimana ya jazb-e-kalimana

    ya aql ki rubahi ya ishq-e-yadul-lahi

    ya hila-e-afrangi ya hamla-e-turkana

    ya shar-e-musalmani ya dair ki darbani

    ya nara-e-mastana kaba ho ki but-KHana

    meri mein faqiri mein shahi mein ghulami mein

    kuchh kaam nahin banta be-jurat-e-rindana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now