yun hai teri talash pe ab tak yaqin mujhe
yuuñ hai tirī talāsh pe ab tak yaqīñ mujhe
jaise tū mil hī jā.egā phir se kahīñ mujhe
maiñ ne to jo bhī dil meñ thā chehre pe likh liyā
tū hai ki ek baar bhī paḌhtā nahīñ mujhe
Dhalte hī shaam TuuT paḌā sar pe āsmāñ
phir merā bojh le gayā zer-e-zamīñ mujhe
ta.abīr jāgtī huī āñkhoñ ko kyā mile
ik ḳhvāb bhī to shab ne dikhāyā nahīñ mujhe
kanda hai merā naam jahāñ aaj bhī 'nasīm'
pahchānte nahīñ usī ghar ke makīñ mujhe
yun hai teri talash pe ab tak yaqin mujhe
jaise tu mil hi jaega phir se kahin mujhe
main ne to jo bhi dil mein tha chehre pe likh liya
tu hai ki ek bar bhi paDhta nahin mujhe
Dhalte hi sham TuT paDa sar pe aasman
phir mera bojh le gaya zer-e-zamin mujhe
tabir jagti hui aankhon ko kya mile
ek KHwab bhi to shab ne dikhaya nahin mujhe
kanda hai mera nam jahan aaj bhi 'nasim'
pahchante nahin usi ghar ke makin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.