yun haq-e-dosti ada kije
yuuñ haq-e-dostī adā kiije
merī tanhā.ī par hañsā kiije
ab vo mausam kabhī na aa.egā
sabz pattoñ ko mat takā kiije
aap ke ḳhvāb jab pareshāñ hoñ
merī nīñdeñ churā liyā kiije
saath chhūTe to umr bhar ho malāl
itnī shiddat se mat milā kiije
jalte rahiye kisī charāġh ke saath
shām-e-tanhā.ī aur kiyā kiije
yun haq-e-dosti ada kije
meri tanhai par hansa kije
ab wo mausam kabhi na aaega
sabz patton ko mat taka kije
aap ke KHwab jab pareshan hon
meri ninden chura liya kije
sath chhuTe to umr bhar ho malal
itni shiddat se mat mila kije
jalte rahiye kisi charagh ke sath
sham-e-tanhai aur kiya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.