yun har ek dard ka sauda to nahin ho sakta
yuuñ har ik dard kā saudā to nahīñ ho saktā
maiñ tire shahr meñ rusvā to nahīñ ho saktā
mere bas meñ to na thā zaḳhm pe marham rakhnā
har koī shaḳhs masīhā to nahīñ ho saktā
maiñ tire dard ko mahsūs to kar saktā huuñ
maiñ tire ġham kā mudāvā to nahīñ ho saktā
raat be-chāñd munavvar to nahīñ ho saktī
ghar meñ be-sham.a ujālā to nahīñ ho saktā
hādisa ye hai ki patthar nahīñ insān huuñ maiñ
dil mirā lāla-e-sahrā to nahīñ ho saktā
tum bhī mānoge ki har baat kī had hotī hai
roz yuuñ vāda-e-fardā to nahīñ ho saktā
yun har ek dard ka sauda to nahin ho sakta
main tere shahr mein ruswa to nahin ho sakta
mere bas mein to na tha zaKHm pe marham rakhna
har koi shaKHs masiha to nahin ho sakta
main tere dard ko mahsus to kar sakta hun
main tere gham ka mudawa to nahin ho sakta
raat be-chand munawwar to nahin ho sakti
ghar mein be-shama ujala to nahin ho sakta
hadisa ye hai ki patthar nahin insan hun main
dil mera lala-e-sahra to nahin ho sakta
tum bhi manoge ki har baat ki had hoti hai
roz yun wada-e-farda to nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.