yun hasraton ke dagh mohabbat mein dho liye
Interesting Fact
Film: Adalat (1958)
yuuñ hasratoñ ke daaġh mohabbat meñ dho liye
ḳhud dil se dil kī baat kahī aur ro liye
ghar se chale the ham to ḳhushī kī talāsh meñ
ġham raah meñ khaḌe the vahī saath ho liye
murjhā chukā hai phir bhī ye dil phuul hī to hai
ab aap kī ḳhushī ise kāñToñ meñ toliye
hoñToñ ko sī chuke to zamāne ne ye kahā
yuuñ chup sī kyuuñ lagī hai ajī kuchh to boliye
yun hasraton ke dagh mohabbat mein dho liye
KHud dil se dil ki baat kahi aur ro liye
ghar se chale the hum to KHushi ki talash mein
gham rah mein khaDe the wahi sath ho liye
murjha chuka hai phir bhi ye dil phul hi to hai
ab aap ki KHushi ise kanTon mein toliye
honTon ko si chuke to zamane ne ye kaha
yun chup si kyun lagi hai aji kuchh to boliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.