Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai

Navneet Sharma

yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai

Navneet Sharma

MORE BYNavneet Sharma

    yuuñ galiyoñ meñ muqaddar dar-ba-dar merā bhī hai

    kyuuñ nahīñ suntā mirī kuchh agar merā bhī hai

    qātiloñ ko ab sazā ho na ho lekin kisī

    hāshiye par ik bayān-e-muḳhtasar merā bhī hai

    maiñ bhī jūjhā huuñ havā se us kabūtar tarah

    dekh vo āñdhī meñ uḌtā ek par merā bhī hai

    paañv tere rāste tere safar terā magar

    kyuuñ pasīne meñ badan phir tar-ba-tar merā bhī hai

    dard vaadī meñ aahoñ mohalla hai jahāñ

    bas vahīñ pahlī saḌak par ek ghar merā bhī hai

    yuuñ na ho maiñ baiTh jā.ūñ terī paichal ke baġhair

    dhuup meñ sahrā uktāyā safar merā bhī hai

    kaisā pāgal-pan ki us ke shahr meñ denī hai jaan

    ab kahāñ huuñ maiñ akelā ham-safar merā bhī hai

    ik uchaTtī nazar ḳhālī mohabbat nazar

    āsmāñ ik chāhiye mujh ko ki sar merā bhī hai

    saath hoñge ham to sach meñ phuul khilte jā.eñge

    aap bas nahīñ tanhā safar merā bhī hai

    ḳhud se bhī miltā nahīñ maiñ tujh gale milne ke ba.ad

    saath rakhne meñ tirī ḳhushbū hunar merā bhī hai

    jab bhī kuchh maiñ ne kahā kyuuñ aap tak pahuñchā nahīñ

    aap qāsid yaqīnan nāma-bar merā bhī hai

    yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai

    kyun nahin sunta meri tu kuchh agar mera bhi hai

    qatilon ko ab saza ho ya na ho lekin kisi

    hashiye par ek bayan-e-muKHtasar mera bhi hai

    main bhi jujha hun hawa se us kabutar ki tarah

    dekh wo aandhi mein uDta ek par mera bhi hai

    panw tere raste tere safar tera magar

    kyun pasine mein badan phir tar-ba-tar mera bhi hai

    dard ki wadi mein aahon ka mohalla hai jahan

    bas wahin pahli saDak par ek ghar mera bhi hai

    yun na ho main baiTh jaun teri paichal ke baghair

    dhup mein sahra ki uktaya safar mera bhi hai

    kaisa pagal-pan ki us ke shahr mein deni hai jaan

    ab kahan hun main akela ham-safar mera bhi hai

    ek uchaTti si nazar KHali mohabbat ki nazar

    aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai

    sath honge hum to sach mein phul khilte jaenge

    aap ka hi bas nahin tanha safar mera bhi hai

    KHud se bhi milta nahin main tujh gale milne ke baad

    sath rakhne mein teri KHushbu hunar mera bhi hai

    jab bhi kuchh main ne kaha kyun aap tak pahuncha nahin

    aap ka qasid yaqinan nama-bar mera bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now