Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun hi har baat pe hansne ka bahana aae

Ajay Sahaab

yun hi har baat pe hansne ka bahana aae

Ajay Sahaab

MORE BYAjay Sahaab

    yuuñ har baat pe hañsne bahāna aa.e

    phir vo ma.asūm bachpan zamāna aa.e

    kaash lauTeñ mire paapā bhī khilaune le kar

    kaash phir se mire hāthoñ meñ ḳhazāna aa.e

    kaash duniyā bhī fitrat ho mirī maañ jaisī

    jab maiñ bin baat ke rūThūñ to manānā aa.e

    ham ko qudrat sikhā detī hai kitnī bāteñ

    kaash ustādoñ ko qudrat paḌhānā aa.e

    aah sahsā kabhī schōl se chhuTTī jo mile

    chīḳh kar bachchoñ vo shor machānā aa.e

    aaj bachpan kahīñ bastoñ meñ uljhā hai 'sahāb'

    phir vo titlī ko pakaḌnā vo uḌānā aa.e

    yun hi har baat pe hansne ka bahana aae

    phir wo masum sa bachpan ka zamana aae

    kash lauTen mere papa bhi khilaune le kar

    kash phir se mere hathon mein KHazana aae

    kash duniya ki bhi fitrat ho meri man jaisi

    jab main bin baat ke ruThun to manana aae

    hum ko qudrat hi sikha deti hai kitni baaten

    kash ustadon ko qudrat sa paDhana aae

    aah sahsa kabhi school se chhuTTi jo mile

    chiKH kar bachchon ka wo shor machana aae

    aaj bachpan kahin baston mein hi uljha hai 'sahab'

    phir wo titli ko pakaDna wo uDana aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now