Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun hi kab jalwa-gah-e-yar mile hai yaro

Mehdi Pratapgarhi

yun hi kab jalwa-gah-e-yar mile hai yaro

Mehdi Pratapgarhi

MORE BYMehdi Pratapgarhi

    yuuñ kab jalva-gah-e-yār mile hai yaaro

    manzil-e-ishq sar-e-dār mile hai yaaro

    husn-e-yūsuf to nazar aa.e hai aksar lekin

    ab kahāñ misr bāzār mile hai yaaro

    koī suqrāt nahīñ sach ke liye kaun mare

    ab kahāñ azmat-e-kirdār mile hai yaaro

    zauq-e-sajda jo ho bedār jabīn-e-dil meñ

    har taraf sañg-e-dar-e-yār mile hai yaaro

    yun hi kab jalwa-gah-e-yar mile hai yaro

    manzil-e-ishq sar-e-dar mile hai yaro

    husn-e-yusuf to nazar aae hai aksar lekin

    ab kahan misr ka bazar mile hai yaro

    koi suqraat nahin sach ke liye kaun mare

    ab kahan azmat-e-kirdar mile hai yaro

    zauq-e-sajda jo ho bedar jabin-e-dil mein

    har taraf sang-e-dar-e-yar mile hai yaro

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now