Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun hi kab tak meri taqdir mein bal aaenge

Anwar Shadani

yun hi kab tak meri taqdir mein bal aaenge

Anwar Shadani

MORE BYAnwar Shadani

    yuuñ kab tak mirī taqdīr meñ bal ā.eñge

    aaj baat pe kahte ho ki kal ā.eñge

    paañv jab jazb-e-mohabbat ke nikal ā.eñge

    vādī-e-husn-o-javānī meñ ḳhalal ā.eñge

    chal le kar hameñ ai mastī-e-zauq-e-sajda

    muñh pe ḳhāk-e-dar-e-mahbūb mal ā.eñge

    hausla shart hai hālāt se māyūs na ho

    rāste ḳhud chaTānoñ se nikal ā.eñge

    karvaTeñ letā hai jab dard-e-mohabbat dil meñ

    koī chupke se ye kahtā hai sambhal ā.eñge

    jab bahār aa.egī phūloñ pe shabāb aa.egā

    tazkire merī tabāhī ke nikal ā.eñge

    ab na aa.egā koī sānī-e-'shādāñ' 'anvar'

    go bahut ahl-e-suḳhan ahl-e-ġhazal ā.eñge

    yun hi kab tak meri taqdir mein bal aaenge

    aaj ki baat pe kahte ho ki kal aaenge

    panw jab jazb-e-mohabbat ke nikal aaenge

    wadi-e-husn-o-jawani mein KHalal aaenge

    chal tu le kar hamein ai masti-e-zauq-e-sajda

    munh pe KHak-e-dar-e-mahbub hi mal aaenge

    hausla shart hai haalat se mayus na ho

    raste KHud hi chaTanon se nikal aaenge

    karwaTen leta hai jab dard-e-mohabbat dil mein

    koi chupke se ye kahta hai sambhal aaenge

    jab bahaar aaegi phulon pe shabab aaega

    tazkire meri tabahi ke nikal aaenge

    ab na aaega koi sani-e-'shadan' 'anwar'

    go bahut ahl-e-suKHan ahl-e-ghazal aaenge

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now