yun hi kab tak upar upar dekha jae
yuuñ hī kab tak uupar uupar dekhā jaa.e
gahrā.ī meñ kyuuñ na utar kar dekhā jaa.e
tez havā.eñ yaad dilāne aa.ī haiñ
naam tirā phir ret pe likh kar dekhā jaa.e
shor harīm-e-zāt meñ āḳhir uTThā kyuuñ
andar dekhā jaa.e ki bāhar dekhā jaa.e
gaatī maujeñ shaam Dhale so jā.eñgī
baad meñ sāhil pahle samundar dekhā jaa.e
saare patthar merī hī jānib uThte haiñ
un se kab 'mahfūz' mirā sar dekhā jaa.e
yun hi kab tak upar upar dekha jae
gahrai mein kyun na utar kar dekha jae
tez hawaen yaad dilane aai hain
nam tera phir ret pe likh kar dekha jae
shor harim-e-zat mein aaKHir uTTha kyun
andar dekha jae ki bahar dekha jae
gati maujen sham Dhale so jaengi
baad mein sahil pahle samundar dekha jae
sare patthar meri hi jaanib uThte hain
un se kab 'mahfuz' mera sar dekha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.