yun jaun paDh kar lahu ugalne ki mujhse sharten na bandh lena
yun jaun paDh kar lahu ugalne ki mujhse sharten na bandh lena
Rafia Zainab
MORE BYRafia Zainab
yuuñ 'jaun' paḌh kar lahū ugalne kī mujh se sharteñ na bāñdh lenā
ġharaz ke bejā gumān par tum yaqīñ kī girheñ na bāñdh lenā
tavīl rasta safar hai mushkil asāsa kam hī rakho to behtar
so aisā karnā ki apne dāman meñ merī nazmeñ na bāñdh lenā
ubal rahā hai jo ek chashma vo bahr-e-āzam banegā ik din
kisī kināre ki chaah meñ tum bas apnī maujeñ na bāñdh lenā
jahāñ kī ḳhātir ai jān-e-jānāñ jo sang-dil tum bane phire ho
mile mohabbat to piiTh pīchhe ḳhud apnī bāheñ na bāñdh lenā
yun 'jaun' paDh kar lahu ugalne ki mujh se sharten na bandh lena
gharaz ke beja guman par tum yaqin ki girhen na bandh lena
tawil rasta safar hai mushkil asasa kam hi rakho to behtar
so aisa karna ki apne daman mein meri nazmen na bandh lena
ubal raha hai jo ek chashma wo bahr-e-azam banega ek din
kisi kinare ki chah mein tum bas apni maujen na bandh lena
jahan ki KHatir ai jaan-e-jaanan jo sang-dil tum bane phire ho
mile mohabbat to piTh pichhe KHud apni bahen na bandh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.