yun kar rahe hain mohabbat mein ehtiyat ab ke
yun kar rahe hain mohabbat mein ehtiyat ab ke
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
yuuñ kar rahe haiñ mohabbat meñ ehtiyāt ab ke
ki duur rah ke kiyā un se irtibāt ab ke
safar thā dil kā kisī dasht-e-be-karāñ jaisā
nazar ne dekhā hai saaya na hī rabāt ab ke
chalī hai kaisī havā jaane sehn-e-gulshan meñ
ki chhin ga.ī hai lab-e-gul se imbisāt ab ke
maiñ hārne ke liye khelūñ ziist kī baazī
bichhā ai zindagī aisī koī bisāt ab ke
bhaTak ga.e haiñ tirī chaah meñ yuuñ manzil se
ki māñgī ham ne duā ihdinassirāt ab ke
jhulas ga.e haiñ sar-e-shāḳh ḳhaar gulshan meñ
na raas aayā gulāboñ se iḳhtilāt ab ke
zabūl-e-fikr-o-nazar kā sabab hai hijr tirā
ki vasl lamhoñ se mafqūd hai nashāt ab ke
yun kar rahe hain mohabbat mein ehtiyat ab ke
ki dur rah ke kiya un se irtibaat ab ke
safar tha dil ka kisi dasht-e-be-karan jaisa
nazar ne dekha hai saya na hi rabaat ab ke
chali hai kaisi hawa jaane sehn-e-gulshan mein
ki chhin gai hai lab-e-gul se imbisat ab ke
main haarne ke liye khelun zist ki bazi
bichha ai zindagi aisi koi bisat ab ke
bhaTak gae hain teri chah mein yun manzil se
ki mangi hum ne dua ihdinassiraat ab ke
jhulas gae hain sar-e-shaKH KHar gulshan mein
na ras aaya gulabon se iKHtilat ab ke
zabul-e-fikr-o-nazar ka sabab hai hijr tera
ki wasl lamhon se mafqud hai nashat ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.