Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun lag raha hai jaise koi aas-pas hai

Nida Fazli

yun lag raha hai jaise koi aas-pas hai

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    yuuñ lag rahā hai jaise koī ās-pās hai

    vo kaun hai jo hai bhī nahīñ aur udaas hai

    mumkin hai likhne vaale ko bhī ye ḳhabar na ho

    qisse meñ jo nahīñ hai vahī baat ḳhaas hai

    maane na maane koī haqīqat to hai yahī

    charḳha hai jis ke paas usī kapās hai

    itnā bhī ban-sañvar ke na niklā kare koī

    lagtā hai har libās meñ vo be-libās hai

    chhoTā baḌā hai paanī ḳhud apne hisāb se

    utnī har nadī hai yahāñ jitnī pyaas hai

    yun lag raha hai jaise koi aas-pas hai

    wo kaun hai jo hai bhi nahin aur udas hai

    mumkin hai likhne wale ko bhi ye KHabar na ho

    qisse mein jo nahin hai wahi baat KHas hai

    mane na mane koi haqiqat to hai yahi

    charKHa hai jis ke pas usi ki kapas hai

    itna bhi ban-sanwar ke na nikla kare koi

    lagta hai har libas mein wo be-libas hai

    chhoTa baDa hai pani KHud apne hisab se

    utni hi har nadi hai yahan jitni pyas hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now