Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf

Nazm Tabatabai

yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    yuuñ maiñ sīdhā gayā vahshat meñ bayābāñ taraf

    haath jis tarah se aatā hai garebāñ taraf

    baiThe baiThe dil-e-ġham-ghīñ ko ye kyā lahr aa.ī

    uTh ke tūfān chalā dīda-e-giryāñ taraf

    dekhnā lāla-e-ḳhud-rav lahaknā saaqī

    koh se dauḌ ga.ī aag bayābāñ taraf

    ro diyā dekh ke aksar maiñ bahār-e-shabnam

    hañs diyā dekh ke aksar gul-e-ḳhandāñ taraf

    baat chhuptī nahīñ paḌtī haiñ nigāheñ sab

    us ke dāman taraf mere garebāñ taraf

    saikḌoñ dāġh-e-gunah dho ga.e rahmat se tirī

    kyā ghaTā jhuum ke aa.ī thī gulistāñ taraf

    chashm-e-ā.īna pareshāñ-nazarī siikh ga.ī

    dekhtā thā ye bahut zulf-e-pareshāñ taraf

    sar jhukā.e hue hai 'nazm' basān-e-ḳhāma

    samt sajde hai terī ḳhat-e-farmāñ taraf

    yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf

    hath jis tarah se aata hai gareban ki taraf

    baiThe baiThe dil-e-gham-ghin ko ye kya lahr aai

    uTh ke tufan chala dida-e-giryan ki taraf

    dekhna lala-e-KHud-raw ka lahakna saqi

    koh se dauD gai aag bayaban ki taraf

    ro diya dekh ke aksar main bahaar-e-shabnam

    hans diya dekh ke aksar gul-e-KHandan ki taraf

    baat chhupti nahin paDti hain nigahen sab ki

    us ke daman ki taraf mere gareban ki taraf

    saikDon dagh-e-gunah dho gae rahmat se teri

    kya ghaTa jhum ke aai thi gulistan ki taraf

    chashm-e-aina pareshan-nazari sikh gai

    dekhta tha ye bahut zulf-e-pareshan ki taraf

    sar jhukae hue hai 'nazm' basan-e-KHama

    samt sajde ki hai teri KHat-e-farman ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now