yun mausamon ke sath bhi laDna zarur tha
yuuñ mausamoñ ke saath bhī laḌnā zarūr thā
lekin shajar thā maiñ to ujaḌnā zarūr thā
ab muztarib haiñ lams se mahrūm uñgliyāñ
bachpan meñ titliyoñ ko pakaḌnā zarūr thā
taqdīr meñ bhī likkhā thā ik pyaas kā safar
dariyā bhī merī raah meñ paḌnā zarūr thā
rahte bhī kitnī der havāoñ ke dosh par
har tiir ko zamīn pe girnā zarūr thā
'kaifī' hameñ bhī kuchh to masāfat kā ilm thā
ik sang-e-mīl raah meñ gaḌnā zarūr thā
yun mausamon ke sath bhi laDna zarur tha
lekin shajar tha main to ujaDna zarur tha
ab muztarib hain lams se mahrum ungliyan
bachpan mein titliyon ko pakaDna zarur tha
taqdir mein bhi likkha tha ek pyas ka safar
dariya bhi meri rah mein paDna zarur tha
rahte bhi kitni der hawaon ke dosh par
har tir ko zamin pe girna zarur tha
'kaifi' hamein bhi kuchh to masafat ka ilm tha
ek sang-e-mil rah mein gaDna zarur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.