yun mere pas se ho kar na guzar jaana tha
yuuñ mire paas se ho kar na guzar jaanā thā
bol ai shaḳhs tujhe kaun nagar jaanā thā
ruuh aur jism jahannam kī tarah jalte haiñ
us se rūThe the to is aag ko mar jaanā thā
raah meñ chhāñv milī thī ki Thahar sakte the
is sahāre ko magar nañg-e-safar jaanā thā
ḳhvāb TuuTe the ki āñkhoñ meñ sitāre nāche
sab ko dāman ke añdhere meñ utar jaanā thā
hādsa ye hai ki ham jaañ na mo'attar kar paa.e
vo to ḳhush-bū thā use yuuñ bhī bikhar jaanā thā
yun mere pas se ho kar na guzar jaana tha
bol ai shaKHs tujhe kaun nagar jaana tha
ruh aur jism jahannam ki tarah jalte hain
us se ruThe the to is aag ko mar jaana tha
rah mein chhanw mili thi ki Thahar sakte the
is sahaare ko magar nang-e-safar jaana tha
KHwab TuTe the ki aankhon mein sitare nache
sab ko daman ke andhere mein utar jaana tha
hadsa ye hai ki hum jaan na mo'attar kar pae
wo to KHush-bu tha use yun bhi bikhar jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.