Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun mubtala kisi pe koi ai KHuda na ho

Nasiri Lakhnavi

yun mubtala kisi pe koi ai KHuda na ho

Nasiri Lakhnavi

MORE BYNasiri Lakhnavi

    yuuñ mubtalā kisī pe koī ai ḳhudā na ho

    dil de diyā ho aur umīd-e-vafā na ho

    tum be-niyāz ho to hai qahr us ġharīb par

    jis ba-juz tumhāre koī aasrā na ho

    mahv-e-ḳhirām aap haiñ bechain ahl-e-qabr

    mujh ko ye ḳhauf hai ki qayāmat bapā na ho

    sadme uThā.e haiñ to duā hai ye 'nāsirī'

    in zālimoñ pe koī bashar mubtalā na ho

    yun mubtala kisi pe koi ai KHuda na ho

    dil de diya ho aur umid-e-wafa na ho

    tum be-niyaz ho to hai qahr us gharib par

    jis ka ba-juz tumhaare koi aasra na ho

    mahw-e-KHiram aap hain bechain ahl-e-qabr

    mujh ko ye KHauf hai ki qayamat bapa na ho

    sadme uThae hain to dua hai ye 'nasiri'

    in zalimon pe koi bashar mubtala na ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now