yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai
yuuñ musallat to dhuāñ jism ke andar tak hai
dastaras aañkh kī lekin kisī manzar tak hai
muḌ ke dekhūñ to ta.āqub meñ vahī saaya ho
bhuul jā.ūñ mire hamrāh koī ghar tak hai
maiñ ki vīrān jazīra huuñ basā de mujh ko
ai ki aqlīm tirī saat samundar tak hai
us ke aage mujhe be-samt-o-nishāñ jaanā thā
maiñ ne samjhā thā safar āḳhirī patthar tak hai
yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai
dastaras aankh ki lekin kisi manzar tak hai
muD ke dekhun to taaqub mein wahi saya ho
bhul jaun mere hamrah koi ghar tak hai
main ki viran jazira hun basa de mujh ko
ai ki aqlim teri sat samundar tak hai
us ke aage mujhe be-samt-o-nishan jaana tha
main ne samjha tha safar aaKHiri patthar tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.