yun na aankhen badal mujhse mere sanam main tere dar se uTh kar kahan jaunga
yun na aankhen badal mujhse mere sanam main tere dar se uTh kar kahan jaunga
Fana bulandshahri
MORE BYFana bulandshahri
yuuñ na āñkheñ badal mujh se mere sanam maiñ tire dar se uTh kar kahāñ jā.ūñgā
tū agar mujh se dāman bachātā rahā sar tire dar se Takrā ke mar jā.ūñgā
ho chukī haiñ zamāne meñ rusvā.iyāñ ab nigāheñ churāne se kyā fā.eda
tū bhulā de mujhe apne dil se magar maiñ jahāñ jā.ūñgā terā kahlā.ūñgā
chāñd-tāroñ se nazreñ milā.e hue kaaT dūñgā shab-e-hijr maiñ is tarah
jab bhī furqat ke lamhe sitam Dhā.eñge maiñ tirī yaad se dil ko bahlā.ūñgā
apne dil pe sahūñgā mohabbat ke ġham tujh ko badnām hone na dūñgā kabhī
ye mirā zarf hai ye mirī baat hai tujh pe ilzām aayā to mar jā.ūñgā
terī ḳhātir salīqe se sajda karūñ hai yahī aarzū hai yahī justujū
mujh ko mil jaa.e gar terā naqsh-e-qadam maiñ ibādat meñ me.arāj pā jā.ūñgā
pyaar tujh se kiyā hai ḳhudā kī qasam ye ta.alluq kabhī TuuT saktā nahīñ
apnī hastī miTā kar tire ishq meñ tere jalvoñ kā ā.īna ban jā.ūñgā
aaj tum ko mire dil se nisbat nahīñ maiñ 'fanā' huuñ zarā tum bhī ye soch lo
kal agar tum mujhe DhūñDne aaoge maiñ sitāroñ kī duniyā meñ kho jā.ūñgā
jazba-e-ishq merā salāmat rahe maut aa.egī ḳhud le ke jām-e-baqā
ai 'fanā' un kī ulfat meñ ho ke 'fanā' har qadam par na.ī zindagī pā.ūñgā
yun na aankhen badal mujh se mere sanam main tere dar se uTh kar kahan jaunga
tu agar mujh se daman bachata raha sar tere dar se Takra ke mar jaunga
ho chuki hain zamane mein ruswaiyan ab nigahen churane se kya faeda
tu bhula de mujhe apne dil se magar main jahan jaunga tera kahlaunga
chand-taron se nazren milae hue kaT dunga shab-e-hijr main is tarah
jab bhi furqat ke lamhe sitam Dhaenge main teri yaad se dil ko bahlaunga
apne dil pe sahunga mohabbat ke gham tujh ko badnam hone na dunga kabhi
ye mera zarf hai ye meri baat hai tujh pe ilzam aaya to mar jaunga
teri KHatir saliqe se sajda karun hai yahi aarzu hai yahi justuju
mujh ko mil jae gar tera naqsh-e-qadam main ibaadat mein mearaj pa jaunga
pyar tujh se kiya hai KHuda ki qasam ye talluq kabhi TuT sakta nahin
apni hasti miTa kar tere ishq mein tere jalwon ka aaina ban jaunga
aaj tum ko mere dil se nisbat nahin main 'fana' hun zara tum bhi ye soch lo
kal agar tum mujhe DhunDne aaoge main sitaron ki duniya mein kho jaunga
jazba-e-ishq mera salamat rahe maut aaegi KHud le ke jam-e-baqa
ai 'fana' un ki ulfat mein ho ke 'fana' har qadam par nai zindagi paunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.