yun na jao ki bahut raat abhi baqi hai
yuuñ na jaao ki bahut raat abhī baaqī hai
mere hisse kī mulāqāt abhī baaqī hai
raat mahkegī to ḳhvāhish bhī bahak jā.egī
jo na ho paa.ī hai vo baat abhī baaqī hai
ḳhair se mil ga.iiñ rāteñ vo murādoñ vaalī
aap ke husn kī ḳhairāt abhī baaqī hai
chāñdnī raat kā har qarz utārā ham ne
pyāse armānoñ kī bārāt abhī baaqī hai
us ke hoñToñ ke gulāb aaj bhī taaza haiñ 'zamīr'
ik mahaktī huī sauġhāt abhī baaqī hai
yun na jao ki bahut raat abhi baqi hai
mere hisse ki mulaqat abhi baqi hai
raat mahkegi to KHwahish bhi bahak jaegi
jo na ho pai hai wo baat abhi baqi hai
KHair se mil gain raaten wo muradon wali
aap ke husn ki KHairaat abhi baqi hai
chandni raat ka har qarz utara hum ne
pyase armanon ki baraat abhi baqi hai
us ke honTon ke gulab aaj bhi taza hain 'zamir'
ek mahakti hui saughat abhi baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.