yun na meri baat mani jaegi
yuuñ na merī baat maanī jā.egī
ḳhuub jāñchī ḳhuub chhānī jā.egī
aate aate raah par vo ā.eñge
jaate jaate bad-gumānī jā.egī
un se ham kah deñge apne dil kī baat
aur kyā hogā na maanī jā.egī
aaj hī to ham ne pī barsoñ ke ba.ad
aaj hī kyā sargirānī jā.egī
ye hameñ ai 'nūh' kyā ma.alūm thā
jald dīvānī javānī jā.egī
yun na meri baat mani jaegi
KHub jaanchi KHub chhani jaegi
aate aate rah par wo aaenge
jate jate bad-gumani jaegi
un se hum kah denge apne dil ki baat
aur kya hoga na mani jaegi
aaj hi to hum ne pi barson ke baad
aaj hi kya sargirani jaegi
ye hamein ai 'nuh' kya malum tha
jald diwani jawani jaegi
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 146)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.