yun na rah rah kar hamein tarsaiye
yuuñ na rah rah kar hameñ tarsā.iye
aa.iye aa jā.iye aa jā.iye
phir vahī dānista Thokar khā.iye
phir mirī āġhosh meñ gir jā.iye
merī duniyā muntazir hai aap kī
apnī duniyā chhoḌ kar aa jā.iye
ye havā sāġhar ye halkī chāñdnī
jī maiñ aatā hai yahīñ mar jā.iye
yun na rah rah kar hamein tarsaiye
aaiye aa jaiye aa jaiye
phir wahi danista Thokar khaiye
phir meri aaghosh mein gir jaiye
meri duniya muntazir hai aap ki
apni duniya chhoD kar aa jaiye
ye hawa saghar ye halki chandni
ji main aata hai yahin mar jaiye
- Book : Junoon (Pg. 210)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.