yun na warafta-e-hairani ho
yuuñ na vārafta-e-hairānī ho
apnī hastī kā na zindānī ho
khokhlā rang hī baaqī na bache
nuur meñ aisī na vīrānī ho
ek bikhrā huā manzar huuñ maiñ
aur nikhrūñ jo pareshānī ho
phir uThe shauq-e-talab se tūfāñ
phir vahī be-sar-o-sāmānī ho
apnī sāñsoñ kī namī ḳhatm huī
is se baḌh kar koī āsānī ho
TūTte sho.ale zamīñ par bikhre
'aslam' ab kyā suḳhan-afshānī ho
yun na warafta-e-hairani ho
apni hasti ka na zindani ho
khokhla rang hi baqi na bache
nur mein aisi na virani ho
ek bikhra hua manzar hun main
aur nikhrun jo pareshani ho
phir uThe shauq-e-talab se tufan
phir wahi be-sar-o-samani ho
apni sanson ki nami KHatm hui
is se baDh kar koi aasani ho
TuTte shoale zamin par bikhre
'aslam' ab kya suKHan-afshani ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.