yun naqab-e-ruKH-e-zeba bhi uTha di kis ne
yuuñ naqāb-e-ruḳh-e-zebā bhī uThā dī kis ne
ḳhirman-e-dil pe ye bijlī sī girā dī kis ne
dāstāñ bhūlī huī yaad palaT aa.ī hai
ahd-e-rafta kī ye tasvīr dikhā dī kis ne
kis ne tanhā.ī kī ik umr gavārā kar lī
zindagī tere tasavvur meñ miTā dī kis ne
zinda rahne kī havas phir se palaT aa.ī hai
mujh ko yaaro ye sar-e-dār sadā dī kis ne
ye kaḌī dhuup kaḌe kos ye sahrā-e-basīt
ābla-pā.ī kī 'anjum' ko sazā dī kis ne
yun naqab-e-ruKH-e-zeba bhi uTha di kis ne
KHirman-e-dil pe ye bijli si gira di kis ne
dastan bhuli hui yaad palaT aai hai
ahd-e-rafta ki ye taswir dikha di kis ne
kis ne tanhai ki ek umr gawara kar li
zindagi tere tasawwur mein miTa di kis ne
zinda rahne ki hawas phir se palaT aai hai
mujh ko yaro ye sar-e-dar sada di kis ne
ye kaDi dhup kaDe kos ye sahra-e-basit
aabla-pai ki 'anjum' ko saza di kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.