yun nibh rahi hai apni gham-e-zindagi ke sath
yuuñ nibh rahī hai apnī ġham-e-zindagī ke saath
nibhtī hai jaise ajnabī kī ajnabī ke saath
aate sabhī haiñ shor machāte jahān meñ
jaate haiñ sab jahāñ se magar ḳhāmushī ke saath
sab toḌ leñge rābta duniyā meñ aap se
milte raheñge sab se agar be-ruḳhī ke saath
rahtī haiñ un se duur jahāñ-bhar kī gardisheñ
jiite haiñ jo bhī zindagī zinda-dilī ke saath
sāthī vahī hai sachchā tumhārā jahān meñ
apnā.e tum ko jo bhī tumhārī kamī ke saath
saanī nahīñ hai us kā koī bhī jahān meñ
kartā hai aadmī jo daġhā aadmī ke saath
'hīrā' fuzūl aas hai duniyā se pālnā
kartā kahāñ vafā hai zamāna kisī ke saath
yun nibh rahi hai apni gham-e-zindagi ke sath
nibhti hai jaise ajnabi ki ajnabi ke sath
aate sabhi hain shor machate jahan mein
jate hain sab jahan se magar KHamushi ke sath
sab toD lenge rabta duniya mein aap se
milte rahenge sab se agar be-ruKHi ke sath
rahti hain un se dur jahan-bhar ki gardishen
jite hain jo bhi zindagi zinda-dili ke sath
sathi wahi hai sachcha tumhaara jahan mein
apnae tum ko jo bhi tumhaari kami ke sath
sani nahin hai us ka koi bhi jahan mein
karta hai aadmi jo dagha aadmi ke sath
'hira' fuzul aas hai duniya se palna
karta kahan wafa hai zamana kisi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.