yun pa raha hun us ka tasawwur KHayal mein
yuuñ pā rahā huuñ us kā tasavvur ḳhayāl meñ
ik shaan hai ki mahv hai apne jamāl meñ
mujh ko bhī kaash us pe koī iḳhtiyār ho
hāsil hai jis ko daḳhl mire har ḳhayāl meñ
mujh ko tashaffī-e-abadī kis ne baḳhsh dī
Duubā huā thā maiñ araq-e-infi.āl meñ
'hirmāñ' ko maut aa.e shab-e-hijr to kahe
kyūñkar guzārtā hai umīd-e-visāl meñ
yun pa raha hun us ka tasawwur KHayal mein
ek shan hai ki mahw hai apne jamal mein
mujh ko bhi kash us pe koi iKHtiyar ho
hasil hai jis ko daKHl mere har KHayal mein
mujh ko tashaffi-e-abadi kis ne baKHsh di
Duba hua tha main araq-e-infial mein
'hirman' ko maut aae shab-e-hijr to kahe
kyunkar guzarta hai umid-e-visal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.