yun qais dasht mein tan-e-tanha muqim hai
yuuñ qais dasht meñ tan-e-tanhā muqīm hai
kār-e-junūñ meñ saath bas 'ahmar' nadīm hai
hijr-o-visāl rang haiñ aql-e-salīm ke
aql-e-salīm shauq kī dushman qadīm hai
āsāñ nahīñ hai utnā ki tartīb de sakūñ
dīvān-e-zaḳhm dosto behad zaḳhīm hai
'ahmar' kisī kī yaad ke saa.e meñ 'umr hai
'ahmar' kisī kī yaad jo nār-e-jahīm hai
yun qais dasht mein tan-e-tanha muqim hai
kar-e-junun mein sath bas 'ahmar' nadim hai
hijr-o-visal rang hain aql-e-salim ke
aql-e-salim shauq ki dushman qadim hai
aasan nahin hai utna ki tartib de sakun
diwan-e-zaKHm dosto behad zaKHim hai
'ahmar' kisi ki yaad ke sae mein 'umr hai
'ahmar' kisi ki yaad jo nar-e-jahim hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.