yun sada dete hue tere KHayal aate hain
yuuñ sadā dete hue tere ḳhayāl aate haiñ
jaise ka.abe kī khulī chhat pe bilāl aate haiñ
roz ham ashkoñ se dho aate haiñ dīvār-e-haram
pagḌiyāñ roz farishtoñ kī uchhāl aate haiñ
haath abhī pīchhe bañdhe rahte haiñ chup rahte haiñ
dekhnā ye hai tujhe kitne kamāl aate haiñ
chāñd sūraj mirī chaukhaT pe ka.ī sadiyoñ se
roz likkhe hue chehre pe savāl aate haiñ
be-hisī muda-dilī raqs sharābeñ naġhme
bas isī raah se qaumoñ pe zavāl aate haiñ
yun sada dete hue tere KHayal aate hain
jaise kabe ki khuli chhat pe bilal aate hain
roz hum ashkon se dho aate hain diwar-e-haram
pagDiyan roz farishton ki uchhaal aate hain
hath abhi pichhe bandhe rahte hain chup rahte hain
dekhna ye hai tujhe kitne kamal aate hain
chand suraj meri chaukhaT pe kai sadiyon se
roz likkhe hue chehre pe sawal aate hain
be-hisi muda-dili raqs sharaben naghme
bas isi rah se qaumon pe zawal aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.