yun shab-e-hijr bitai maine
yuuñ shab-e-hijr bitā.ī maiñ ne
niiñd tāqoñ meñ jalā.ī maiñ ne
chhoḌ jā.ūñgī qasam se tujh ko
aur qasam bhī tirī khaa.ī maiñ ne
us kī āñkhoñ se churā kar kuchh ashk
raat kī pahlī kamā.ī maiñ ne
us kā ġham sard kiyā aahoñ se
dhuup meñ chhāñv milā.ī maiñ ne
jaane kyoñ ruuh kī dīvār pe aaj
zard sī bel chaḌhā.ī maiñ ne
naam takiye pe tirā likhnā thā
is liye sīkhī kaḌhā.ī maiñ ne
bech kar 'sa.adiya' zevar maañ kā
puurī kī apnī paḌhā.ī maiñ ne
yun shab-e-hijr bitai main ne
nind taqon mein jalai main ne
chhoD jaungi qasam se tujh ko
aur qasam bhi teri khai main ne
us ki aankhon se chura kar kuchh ashk
raat ki pahli kamai main ne
us ka gham sard kiya aahon se
dhup mein chhanw milai main ne
jaane kyon ruh ki diwar pe aaj
zard si bel chaDhai main ne
nam takiye pe tera likhna tha
is liye sikhi kaDhai main ne
bech kar 'sadiya' zewar man ka
puri ki apni paDhai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.