yun sitam ki na intiha kije
yuuñ sitam kī na intihā kiije
tauba kiije ḳhudā ḳhudā kiije
pyaar meñ ḳham hai ye sar-e-taslīm
aap ab jāniye ki kyā kiije
qarz koī bhī ham nahīñ rakhte
aap chāhat kī intihā kiije
toḌ kar shīsha-e-yaqīñ merā
lutf-e-āzār kuchh sivā kiije
ḳhvāhisheñ dil meñ jab sulagtī hoñ
kaise jiine kā aasrā kiije
jaan liije ki saath hai 'afroz'
aap jab jab mujhe sadā kiije
yun sitam ki na intiha kije
tauba kije KHuda KHuda kije
pyar mein KHam hai ye sar-e-taslim
aap ab jaaniye ki kya kije
qarz koi bhi hum nahin rakhte
aap chahat ki intiha kije
toD kar shisha-e-yaqin mera
lutf-e-azar kuchh siwa kije
KHwahishen dil mein jab sulagti hon
kaise jine ka aasra kije
jaan lije ki sath hai 'afroz'
aap jab jab mujhe sada kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.