yun tarannum-rez hai har parda dil ke saz ka
yuuñ tarannum-rez hai har parda dil ke saaz kā
har-nafas par mujh ko dhokā hai tirī āvāz kā
ik tajallī hī tajallī har taraf paatā huuñ maiñ
allah-allah kyā asar hai husn ke e.ajāz kā
iztirāb-e-dil ke sadme soz-e-pinhāñ ke nisār
aa gayā jumbish meñ har parda harīm-e-nāz kā
chashm-e-hairat muhr-bar-lab dil ba-āġhosh-e-habīb
muḳhtasar ye haal hai ab āshnā-e-rāz kā
hashr sab ko sarmad-o-mansūr kā ma.alūm hai
kaun hāmil ho sakegā ab navā-e-rāz kā
yun tarannum-rez hai har parda dil ke saz ka
har-nafas par mujh ko dhoka hai teri aawaz ka
ek tajalli hi tajalli har taraf pata hun main
allah-allah kya asar hai husn ke eajaz ka
iztirab-e-dil ke sadme soz-e-pinhan ke nisar
aa gaya jumbish mein har parda harim-e-naz ka
chashm-e-hairat muhr-bar-lab dil ba-aghosh-e-habib
muKHtasar ye haal hai ab aashna-e-raaz ka
hashr sab ko sarmad-o-mansur ka malum hai
kaun hamil ho sakega ab nawa-e-raaz ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.