yun tera jadu hua
yuuñ tirā jaadū huā
jo milā vo tū huā
ham bhī kyā yaksū hue
'ishq tū yaksū huā
is liye phailā huuñ maiñ
tū mirī ḳhushbū huā
phir tavāf-e-husn meñ
maiñ bhī qibla-rū huā
shā'irī kyūñkar na ho
tū mirī urdu huā
pahle dil meñ 'ishq thā
aur phir har-sū huā
is se kyā paḌtā hai farq
maiñ huā yā tū huā
ham to saada log the
yaar hīla-jū huā
‘tābish’-e-ḳhasta ke baa'd
sirf 'anjum' tū huā
yun tera jadu hua
jo mila wo tu hua
hum bhi kya yaksu hue
'ishq tu yaksu hua
is liye phaila hun main
tu meri KHushbu hua
phir tawaf-e-husn mein
main bhi qibla-ru hua
sha'iri kyunkar na ho
tu meri urdu hua
pahle dil mein 'ishq tha
aur phir har-su hua
is se kya paDta hai farq
main hua ya tu hua
hum to sada log the
yar hila-ju hua
‘tabish’-e-KHasta ke ba'd
sirf 'anjum' tu hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.