yun teri talash mein tere KHasta-jaan chale
yuuñ tirī talāsh meñ tere ḳhasta-jāñ chale
jaise jhuum jhuum kar gard-e-kārvāñ chale
aaj yuuñ hī sāqiyā jām-e-arġhavāñ chale
jaise bazm-e-va.az meñ shaiḳh kī zabāñ chale
rāh-e-ġham meñ ham se vo yuuñ kashāñ kashāñ chale
jaise bach ke 'ishq se husn-e-bad-gumāñ chale
dil dhaḌak dhaḌak uThā yuuñ kisī ko dekh kar
jis tarah bahār meñ nabz-e-gulsitāñ chale
dil kī anjuman se yuuñ jā rahā hai zabt-e-ġham
jaise raaz kholne koī rāz-dāñ chale
shaiḳh jā rahā hai yuuñ sū-e-mai-kada 'fanā'
sar jhukā ke jis tarah umr-e-rā.egāñ chale
yun teri talash mein tere KHasta-jaan chale
jaise jhum jhum kar gard-e-karwan chale
aaj yun hi saqiya jam-e-arghawan chale
jaise bazm-e-waz mein shaiKH ki zaban chale
rah-e-gham mein hum se wo yun kashan kashan chale
jaise bach ke 'ishq se husn-e-bad-guman chale
dil dhaDak dhaDak uTha yun kisi ko dekh kar
jis tarah bahaar mein nabz-e-gulsitan chale
dil ki anjuman se yun ja raha hai zabt-e-gham
jaise raaz kholne koi raaz-dan chale
shaiKH ja raha hai yun su-e-mai-kada 'fana'
sar jhuka ke jis tarah umr-e-raegan chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.