yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH
yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH
Qayem Chaandpuri
MORE BYQayem Chaandpuri
yuuñ to duniyā meñ har ik kaam ke ustād haiñ shaiḳh
par jo kuchh aap meñ fan haiñ vo kise yaad haiñ shaiḳh
sab hī bande to ḳhudā ke haiñ par itnā hai farq
tū giraftār-e-ta.ayyun hai ham āzād haiñ shaiḳh
ham to mar jaa.eñ jo ik dam ye kareñ saum-o-salāt
kyuuñ ki jiite haiñ vo jo aap ke miqtād haiñ shaiḳh
duḳhtar-e-raz to hai beTī sī tire uupar harām
riñd is rishte se saare tire dāmād haiñ shaiḳh
thoḌī sī baat meñ 'qā.em' kī tū hotā hai ḳhafā
kuchh haramzadga.īñ apnī bhī tujhe yaad haiñ shaiḳh
yun to duniya mein har ek kaam ke ustad hain shaiKH
par jo kuchh aap mein fan hain wo kise yaad hain shaiKH
sab hi bande to KHuda ke hain par itna hai farq
tu giraftar-e-tayyun hai hum aazad hain shaiKH
hum to mar jaen jo ek dam ye karen saum-o-salat
kyun ki jite hain wo jo aap ke miqtad hain shaiKH
duKHtar-e-raz to hai beTi si tere upar haram
rind is rishte se sare tere damad hain shaiKH
thoDi si baat mein 'qaem' ki tu hota hai KHafa
kuchh haramzadgain apni bhi tujhe yaad hain shaiKH
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.