yun to hawas-e-baKHshish-o-inam bahut hai
yuuñ to havas-e-baḳhshish-o-in'ām bahut hai
mil jaa.e jo saaqī se vahī jaam bahut hai
kyā saaf nazar aa.eñ badalte hue chehre
dhuñdhlā abhī ā.īna-e-ayyām bahut hai
nazroñ ko to kuchh aap kī kahtā nahīñ koī
kyoñ dil pe mire yūrish-e-ilzām bahut hai
hai maslahat-e-vaqt kā shāyad ye ishāra
mujh par jo abhī bārish-e-ikrām bahut hai
dekhā hī nahīñ zarf ko apne kabhī tum ne
aur dil meñ havas bāda-e-gulfām bahut hai
aa.egī shab-e-vasl bhī ai zulmat-e-hijrāñ
maanā ki tirī zulf-e-siyah-fām bahut hai
tārājī-e-gulshan kī ḳhabar mil ga.ī shāyad
masrūf-e-fuġhāñ said-e-tah-e-dām bahut hai
mumkin hai badal jaa.eñ kabhī vaqt ke tevar
maanā ki abhī talḳhī-e-ayyām bahut hai
rahne nahīñ detā hai kahīñ chain se mujh ko
āzurda jo mujh se dil-e-nākām bahut hai
shāmil haiñ tirī bazm meñ rindān-e-balā-nosh
mere liye bas durd-e-tah-e-jām bahut hai
pahchān ga.e ham jo zamāne kī nigāheñ
terā ye karam gardish-e-ayyām bahut hai
kyoñ chheḌiye āġhāz-e-mohabbat kā fasāna
dil meñ ḳhalish-e-nashtar-e-anjām bahut hai
ham ko bhī bharosa hai bahut apnī ḳhudī par
hoñToñ se agar fāsla-e-jām bahut hai
zinda rahe 'bahzād' to pūchhā na kisī ne
sunte haiñ ki mar jaane pe kohrām bahut hai
yun to hawas-e-baKHshish-o-in'am bahut hai
mil jae jo saqi se wahi jam bahut hai
kya saf nazar aaen badalte hue chehre
dhundhla abhi aaina-e-ayyam bahut hai
nazron ko to kuchh aap ki kahta nahin koi
kyon dil pe mere yurish-e-ilzam bahut hai
hai maslahat-e-waqt ka shayad ye ishaara
mujh par jo abhi barish-e-ikram bahut hai
dekha hi nahin zarf ko apne kabhi tum ne
aur dil mein hawas baada-e-gulfam bahut hai
aaegi shab-e-wasl bhi ai zulmat-e-hijran
mana ki teri zulf-e-siyah-fam bahut hai
taraji-e-gulshan ki KHabar mil gai shayad
masruf-e-fughan said-e-tah-e-dam bahut hai
mumkin hai badal jaen kabhi waqt ke tewar
mana ki abhi talKHi-e-ayyam bahut hai
rahne nahin deta hai kahin chain se mujh ko
aazurda jo mujh se dil-e-nakaam bahut hai
shamil hain teri bazm mein rindan-e-bala-nosh
mere liye bas durd-e-tah-e-jam bahut hai
pahchan gae hum jo zamane ki nigahen
tera ye karam gardish-e-ayyam bahut hai
kyon chheDiye aaghaz-e-mohabbat ka fasana
dil mein KHalish-e-nashtar-e-anjam bahut hai
hum ko bhi bharosa hai bahut apni KHudi par
honTon se agar fasla-e-jam bahut hai
zinda rahe 'bahzad' to puchha na kisi ne
sunte hain ki mar jaane pe kohram bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.