yun to ek umr sath sath hui
yuuñ to ik 'umr saath saath huī
jism kī ruuh se na baat huī
kyuuñ ḳhayāloñ meñ roz aate haiñ
ik mulāqāt jin ke saath huī
kitnā sochā thā dil lagā.eñge
sochte sochte hayāt huī
laakh tākīd husn kartā rahā
'ishq se ḳhaak ehtiyāt huī
ik faqat vasl kā na vaqt huā
din huā roz roz raat huī
kyā batā.eñ bisāt zarre kī
zarre zarre se kā.enāt huī
shāyad aa.ī hai rut chunāvoñ kī
kal jo kūche meñ vārdāt huī
kyā thī mushkil visāl-e-haq meñ 'sadā'
tujh se bas rad na terī zaat huī
yun to ek 'umr sath sath hui
jism ki ruh se na baat hui
kyun KHayalon mein roz aate hain
ek mulaqat jin ke sath hui
kitna socha tha dil lagaenge
sochte sochte hayat hui
lakh takid husn karta raha
'ishq se KHak ehtiyat hui
ek faqat wasl ka na waqt hua
din hua roz roz raat hui
kya bataen bisat zarre ki
zarre zarre se kaenat hui
shayad aai hai rut chunawon ki
kal jo kuche mein wardat hui
kya thi mushkil visal-e-haq mein 'sada'
tujh se bas rad na teri zat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.