yun to kahne ko teri rah ka patthar nikla
yuuñ to kahne ko tirī raah kā patthar niklā
tū ne Thokar jo lagā dī to mirā sar niklā
log to jā ke samundar ko jalā aa.e haiñ
maiñ jise phūñk kar aayā vo mirā ghar niklā
ek vo shaḳhs jo phūloñ se bhare thā dāman
har kaf-e-gul meñ chhupā.e hue ḳhanjar niklā
yuuñ to ilzām hai tūfāñ pe Dubo dene kā
tah meñ dariyā kī magar naav kā lañgar niklā
ghar ke ghar ḳhaak hue jal ke nadī suukh ga.ī
phir bhī un āñkhoñ meñ jhāñkā to samundar niklā
farsh tā arsh koī nām-o-nishāñ mil na sakā
maiñ jise DhūñDh rahā thā mire andar niklā
yun to kahne ko teri rah ka patthar nikla
tu ne Thokar jo laga di to mera sar nikla
log to ja ke samundar ko jala aae hain
main jise phunk kar aaya wo mera ghar nikla
ek wo shaKHs jo phulon se bhare tha daman
har kaf-e-gul mein chhupae hue KHanjar nikla
yun to ilzam hai tufan pe Dubo dene ka
tah mein dariya ki magar naw ka langar nikla
ghar ke ghar KHak hue jal ke nadi sukh gai
phir bhi un aankhon mein jhanka to samundar nikla
farsh ta arsh koi nam-o-nishan mil na saka
main jise DhunDh raha tha mere andar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.