yun to nahin ki pahle sahaare banae the
yuuñ to nahīñ ki pahle sahāre banā.e the
dariyā banā ke us ne kināre banā.e the
kuuze banāne vaale ko ujlat ajiib thī
puure nahīñ banā.e the saare banā.e the
ab ishrat-o-nashāt kā sāmān huuñ to huuñ
ham ne to diip ḳhauf ke maare banā.e the
dī hai usī ne pyaas bujhāne ko aag bhī
paanī se jis ne jism hamāre banā.e the
phir yuuñ huā ki us kī zabāñ kaaT dī ga.ī
vo jis ne guftugū ke ishāre banā.e the
sahrā pe bādaloñ kā hunar khul nahīñ sakā
qatre banā.e the ki sharāre banā.e the
'shāhid' ḳhafā thā kātib-e-taqdīr is liye
ham ne zamīñ pe apne sitāre banā.e the
yun to nahin ki pahle sahaare banae the
dariya bana ke us ne kinare banae the
kuze banane wale ko ujlat ajib thi
pure nahin banae the sare banae the
ab ishrat-o-nashat ka saman hun to hun
hum ne to dip KHauf ke mare banae the
di hai usi ne pyas bujhane ko aag bhi
pani se jis ne jism hamare banae the
phir yun hua ki us ki zaban kaT di gai
wo jis ne guftugu ke ishaare banae the
sahra pe baadalon ka hunar khul nahin saka
qatre banae the ki sharare banae the
'shahid' KHafa tha katib-e-taqdir is liye
hum ne zamin pe apne sitare banae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.