yun to pahlu mein mere aae to sharma jae hai
yuuñ to pahlū meñ mire aa.e to sharmā jaa.e hai
aur tasavvur meñ vo zālim be-dhaḌak aa jaa.e hai
baiThe baiThe yaad jab vo bevafā aa jaa.e hai
yuuñ lage hai jaise dil pahlū se niklā jaa.e hai
us ke ruḳh par zulf jab shoḳhī se lahrā jaa.e hai
kyā kahūñ us vaqt dil meñ kyā ḳhayāl aa jaa.e hai
kyā kahūñ us kī judā.ī kyā ġhazab Dhā jaa.e hai
jiite jī hī mujh ko marne kā maza aa jaa.e hai
itnā hī nazdīk tujh ko pā rahā huuñ dil se maiñ
jis qadar o bevafā tū duur hotā jaa.e hai
jitnī jitnī baḌh rahī haiñ ishq kī majbūriyāñ
utnā utnā zindagī kā lutf baḌhtā jaa.e hai
yaad aanā us kā furqat meñ qayāmat ho gayā
laakh samjhātā huuñ par dil hai ki machlā jaa.e hai
yuuñ na Thukrā iltijā barbād dil par rahm kar
sabr kā dāman mire hāthoñ se chhūTā jaa.e hai
jab kamī mahsūs hogī un ko merī har jagah
vo zamān-e-hijr meñ nazdīk aaya jaa.e hai
jab nahīñ hotā koī ġham kā mirī fariyād-ras
dard-e-dil ash'ār ke sāñchoñ meñ Dhaltā jaa.e hai
jab umañDtā hai Dil-e-pur-ġham vufūr-e-dard se
phir kahāñ palkoñ se ashkoñ ko sañbhālā jaa.e hai
ho ke sharminda koī maa.il ho jis dam lutf par
be-ḳhudī-e-shauq meñ phir kis se sambhlā jaa.e hai
ik payām-e-nā-shunīda nāla-e-nā-āfrīd
haa.e vo naġhma jo sāz-e-dil pe gaayā jaa.e hai
ashk bhar-bhar aa.e haiñ is vaqt āñkhoñ meñ mirī
apnī barbādī kā manzar kis se dekhā jaa.e hai
shikva aa hī jaa.e hai 'sāhir' lab-e-māyūs par
yūrish-e-ġham se dil-e-nākām ghabrā jaa.e hai
yun to pahlu mein mere aae to sharma jae hai
aur tasawwur mein wo zalim be-dhaDak aa jae hai
baiThe baiThe yaad jab wo bewafa aa jae hai
yun lage hai jaise dil pahlu se nikla jae hai
us ke ruKH par zulf jab shoKHi se lahra jae hai
kya kahun us waqt dil mein kya KHayal aa jae hai
kya kahun us ki judai kya ghazab Dha jae hai
jite ji hi mujh ko marne ka maza aa jae hai
itna hi nazdik tujh ko pa raha hun dil se main
jis qadar o bewafa tu dur hota jae hai
jitni jitni baDh rahi hain ishq ki majburiyan
utna utna zindagi ka lutf baDhta jae hai
yaad aana us ka furqat mein qayamat ho gaya
lakh samjhata hun par dil hai ki machla jae hai
yun na Thukra iltija barbaad dil par rahm kar
sabr ka daman mere hathon se chhuTa jae hai
jab kami mahsus hogi un ko meri har jagah
wo zaman-e-hijr mein nazdik aaya jae hai
jab nahin hota koi gham ka meri fariyaad-ras
dard-e-dil ash'ar ke sanchon mein Dhalta jae hai
jab umanDta hai Dil-e-pur-gham wufur-e-dard se
phir kahan palkon se ashkon ko sanbhaala jae hai
ho ke sharminda koi mail ho jis dam lutf par
be-KHudi-e-shauq mein phir kis se sambhla jae hai
ek payam-e-na-shunida nala-e-na-afrid
hae wo naghma jo saz-e-dil pe gaya jae hai
ashk bhar-bhar aae hain is waqt aankhon mein meri
apni barbaadi ka manzar kis se dekha jae hai
shikwa aa hi jae hai 'sahir' lab-e-mayus par
yurish-e-gham se dil-e-nakaam ghabra jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.