yun wo paigham se to aaega
yuuñ vo paiġhām se to aa.egā
ġhair ke naam se to aa.egā
shab-e-hijrāñ se maut behtar hai
ḳhvāb ārām se to aa.egā
yuuñ na aa.egā haath gar vo sanam
tark-e-islām se to aa.egā
le hī to ā.eñge use hamdam
mere hī naam se to aa.egā
sāqiyā mujh se bāda-kash ko surūr
ek hī jaam se to aa.egā
dil kā aanā hai kaam se jaanā
jā.egā kaam se to aa.egā
kabhī apnā bhī roz-e-ḳhush ai 'dāġh'
daur-e-ayyām se to aa.egā
yun wo paigham se to aaega
ghair ke nam se to aaega
shab-e-hijran se maut behtar hai
KHwab aaram se to aaega
yun na aaega hath gar wo sanam
tark-e-islam se to aaega
le hi to aaenge use hamdam
mere hi nam se to aaega
saqiya mujh se baada-kash ko surur
ek hi jam se to aaega
dil ka aana hai kaam se jaana
jaega kaam se to aaega
kabhi apna bhi roz-e-KHush ai 'dagh'
daur-e-ayyam se to aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.