yun zindagi ko zer-o-zabar kar rahe hain hum
yuuñ zindagī ko zer-o-zabar kar rahe haiñ ham
har din hī gardishoñ meñ basar kar rahe haiñ ham
manzil kī hai talāsh magar ye ḳhabar nahīñ
kāġhaz kī kashtiyoñ meñ safar kar rahe haiñ ham
ai shab sambhal ki tere añdheroñ kī ḳhair ho
ḳhud meñ talāsh najm-o-qamar kar rahe haiñ ham
kuchh hasratoñ ke qāfile kuchh ḳhvāhishoñ ke ghar
bas ḳhvāb ḳhvāb hī meñ basar kar rahe haiñ ham
ḳhurshed ham ko terī tamāzat kā Dar nahīñ
ik tuḳhm-e-nā-tavāñ ko shajar kar rahe haiñ ham
tū rabb-e-kā.ināt hai parvardigār hai
sajde tujhe hī shām-o-sahar kar rahe haiñ ham
ham ne talāsh-e-ishq meñ haarī hai zindagī
ahl-e-junūñ ko aaj ḳhabar kar rahe haiñ ham
hai maqsad-e-hayāt ki manzil mile 'sadaf'
us kī talāsh shām-o-sahar kar rahe haiñ ham
yun zindagi ko zer-o-zabar kar rahe hain hum
har din hi gardishon mein basar kar rahe hain hum
manzil ki hai talash magar ye KHabar nahin
kaghaz ki kashtiyon mein safar kar rahe hain hum
ai shab sambhal ki tere andheron ki KHair ho
KHud mein talash najm-o-qamar kar rahe hain hum
kuchh hasraton ke qafile kuchh KHwahishon ke ghar
bas KHwab KHwab hi mein basar kar rahe hain hum
KHurshed hum ko teri tamazat ka Dar nahin
ek tuKHm-e-na-tawan ko shajar kar rahe hain hum
tu rabb-e-kainat hai parwardigar hai
sajde tujhe hi sham-o-sahar kar rahe hain hum
hum ne talash-e-ishq mein haari hai zindagi
ahl-e-junun ko aaj KHabar kar rahe hain hum
hai maqsad-e-hayat ki manzil mile 'sadaf'
us ki talash sham-o-sahar kar rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.