yunhi chalte rahne se kya hoga
yūñhī chalte rahne se kyā hogā
apnā kahne ko bas ik rastā hogā
sahrā jañgal dasht na vīrānā koī
dīvāne kā ghar jaane kaisā hogā
us ko lagtā hai ki maiñ bilkul tanhā huuñ
kis ke saath mujhe us ne dekhā hogā
us kā Dar mere Dar se mil kar bolā
ham na hue to in donoñ kā kyā hogā
yunhi chalte rahne se kya hoga
apna kahne ko bas ek rasta hoga
sahra jangal dasht na virana koi
diwane ka ghar jaane kaisa hoga
us ko lagta hai ki main bilkul tanha hun
kis ke sath mujhe us ne dekha hoga
us ka Dar mere Dar se mil kar bola
hum na hue to in donon ka kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.